NewsBlog

Dutch Scientist Ki Tweet Ne Yahoodiyon Ke Tan Badan Mein Aag Laga Di

Dutch Scientist Ki Tweet Ne Yahoodiyon Ke Tan Badan Mein Aag Laga Di

Gaza mein jari Israeli darindgi par zalzaloon ki paishangoi karne wala Dutch scientist Frank Hoogerbeets bhi bol para, unke tweets ne Yahudiyo ke tan badan mein aag lagadi.

 

Dutch scientist ne apne Twitter account mein likha ke “Is se pehle koi mujhe Yahood mukhalif kahe, science ke mutabiq tamam log Africa se talluq rakhte hain. Humne bandar se insano tak irtaqaa ka safar kiya hai, lekin in mein se bohat se log ab bhi bandaron ki tarah bartao karte hain jo larte hain. 1947 se pehle, Musalman, Yahudi aur Isai Filisteen mein purnam tor par ek saath rehte the.”

 

Frank Hoogerbeets ke in tabasron ne Yahudiyo ko sekh paa kar diya, social media par unke khilaf shadeed tanqeed ka mahaz khul gaya hai.

 

“Frank Hoogerbeets ne apne Twitter account par Falasteen ke naqshay ke sath aik tweet likha, jis mein unhone kaha, ‘Aaj hum ne Ghaza par baray pemanay par bombaari aur Isra’il ki taraf se zameeni hamle ke bare mein suna hai. Falasteen ke logon ke paas nah bijli hai, nah paani aur nahin internet. Ise mukammal tor par munqata kar diya gaya hai. Yeh aik jangi jurm hai aur aik aise mulk ki taraf se hai jo 1947 mein naqshay par nahin tha.’

 

Is tweet ne Isra’il ke hamiyon ki janib se un ke khilaf tabasuron aur tanqeed ki aik lehar ko janam diya, jab ke doosri janib un ki tareef bhi ki jarahi hai.

 

Wazeh rahe ke Dutch scientist ki posts aam tor par zalzalon aur qudrati afat ke bare mein hoti hain.”

 

See also  Tesla Yahoo Finance

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button